Functional programming/Higher Order Functions
Higher-order functions bahut hi powerful aur versatile hote hain, aur isse code ko readable, reusable, aur maintainable banane mein help milti hai. Ye functional programming ka ek important concept hai, aur iska use aajkal bahut si programming languages mein hota hai.
Map Function:
Python ke map() function ka istamal kisi bhi iterable object
jaise list, tuple ya string mein har ek item ke liye ek function ko apply karne
ke liye kiya jaata hai. map() function ek iterator object return karta hai jo
original iterable ke elements ko modified version mein convert karta hai.
map()
function ka syntax is tarah hota hai:
map(function,
iterable)
Code Example:
numbers
= [1, 2, 3, 4, 5]
def
square(x):
return x**2
squares
= list(map(square, numbers)) print(squares)
#
Output: [1, 4, 9, 16, 25]
Lambda
function
lambda ek anonymous (bina naam ke)
function hai, jo Python mein def keyword ki jagah define kiya jata hai. lambda
function ko define karne ke baad hum ise variable mein store karke baad mein
use kar sakte hain.
lambda
function ka syntax bahut hi simple hai:
lambda arguments: expression
Code Example:
sq = lambda x:x**2
print(sq(3))
# Output: 9
Filter
Function
Python mein filter() function ka istamal list, tuple, ya anya iterable object mein se ek naya iterable object create karne ke liye kiya jaata hai, jismein sirf un elements ko shamil kiya jaata hai jo diye gaye function ke condition ko satisfy karte hain. Yani ki, filter() function ka istamal kisi iterable ke elements ko filter karne ke liye kiya jaata hai.
filter() function ka syntax is tarah
hota hai:
filter(function, iterable)
Code example
numbers = [1,2,3,4,5]
even_numbers = list(filter(lambda x:x%2==0, numbers))
print(even_numbers)
# condition(x%2==0) numbers ki list mai sy sirf even number print kro.
# agr condition mai 0 ki jga 1 hota to numbers ki list mai sy sirf odd number print hote.
# Output: [2,4]
Even odd program concept link below 👇
Link:
https://www.youtube.com/watch?v=ug-HWQu06bc
Reduce() Function
reduce() function, functools module mein
mojood hai aur ye ek bahut hi powerful function hai jo ek iterable object ke
saare elements ko ek single value mein reduce karta hai. reduce() function ka istamal kisi bhi binary
operation (jaise addition, multiplication) ko apply karne ke liye kiya jaata
hai, jiska result humein single value mein chahiye hota hai.
reduce() function ka syntax is tarah
hota hai:
reduce(function, iterable,
initializer)
Code Example:
from functools import reduce
numbers = [1,2,3,4,5]
sum = reduce(lambda x,y:x+y, numbers)
print(sum)
# Output: 15
Aap
yahan dekhsakte ho humein single value mein output return huwa hai.
List comprehension
List comprehension Python mein ek bahut hi
powerful aur readable technique hai, jiske zarye hum ek list ko generate
kar sakte hain, bina kisi loop ke. List comprehension ka use hum ek existing
list, set, ya sequence object ke elements ko use kar ke naye list ko create
karne ke liye karte hain.
List comprehension ka syntax bahut hi
simple hai.
Ismein hum square brackets [] ka
use karte hain, jisse Python ko ye pata chal jata hai ki hum ek list generate
karna chahte hain.
Code Example:
numbers = [1, 2, 3, 4, 5]
squares = [x**2 for x in numbers]
print(squares)
#
Output: [1, 4, 9, 16, 25]